wo yoon mila k bazahir khafa khafa sa laga wo dosroo.n sey magar mujh ko kuch juda sa laga mizaaj us nay na pocha magar salam liya ye be-rukhi ka saleeqa bhi kuch bhala sa laga wo jis ki kum-sukhani ko ghoroor samjha gaya meri nigah ko wo paikar-e haya sa laga main apney karb [...]

















